Skip to content
Skip to product information
1 of 1

SKU:

Package to reduce Skin Allergy

Rs.760.00 PKR
Rs.760.00 PKR
Sale Sold out
Tax included. Shipping calculated at checkout.

About the Product

Khujli jild ki bemari ki alamat hai jiska tajurba taqreeban ham sab ny zindagi k kisi na kisi hissy main kiya hua hai. Is k bawajood bhe khujli ko kisi dusry fard k samnay bayan karna intehai mushkil hota hai. Khujli ki alamaat mukhtalif hoti hain, albatta ye jild par jalan, or bechaini ka sabab banti hai.

KHUJLI KA GHARELU ILAJ

1. SAIB KA SIRKA (Apple Cider Vinegar)

Saib ka sirka na sirf khanon ka zaiqa barhata hai balky is main mojood antibacterial khawas isy khujli ka ilaj bhe banaty hain. Is sirky ko roui (cotton) mein bhigo kar khujli waly hissy par halka halka lagayen. Saib ka sirka daad khaj khujli ka pakka ilaj hai. Mukammal tor pay khujli sy najat hasil karny k liye kam sy kam 4 roz tak din main 2-3 martaba saib ka sirka mutasirah jagah par lagain.

2. LEHSAN (GARLIC)

Lehsan ko sirky mein bhigo kar is mixture main namak shamil karain or jisam k mutasirah hissy par laga kar kam sy kam 5-7 minute k liye chor dain phir mutasirah hissy ko thanday pani sy dho lain. Khujli ka gharelu ilaaj karny k liye is gharelu totky ko kam sy kam aik hafty tak istemal karain.

3. TULSI KAY PATTAY (HOLY BASIL)

Tulsi k pattay pees kar iska arq mutassirah jagah par din mein 2-3 martaba lazmi lagain. Iska istemal us waqat tak jari rakhain jab tak skin allergy puri tarah thek na ho jaye is ke ilawa ye face per khujli ka ilaj bhe hai.

View Product Details
You might like
  • V2 Ajmali
    Rs.690.00 PKR
    Rs.690.00 PKR
    Sale Sold out
  • Tila Khas No.1
    Rs.400.00 PKR
    Rs.400.00 PKR
    Sale Sold out
  • Labub Kabir Khas
    From Rs.6,000.00 PKR
    From Rs.6,000.00 PKR
    Sale Sold out