Pait dard ki kai wajuhaat ho sakti hain, jaise ghalat ghiza, gas, qabz ya maidy ki kamzori. Baaz okaat hum la ilmi ki waja sy asi ghizain istemal kar lety hain jo maidy k lye nuqsaan deh sabit hoti hain. Neechy hum pait dard ki chand aam wajuhaat bayan kar rahy hain.
PAIT DARD KI WAJUHAT (CAUSES OF STOMACH PAIN)
Yahan humpait dardki chand bari wajuhaat or un sy hony waaly amraz py roshni dalty hain
1. Gluten Waaly Khany
Agar aapkopait dard rehti hai or pait main gas bharny k sath sath paichish ka bhe masla dairpaish hai to ye is baat ka ishara hai ke aapko gluten allergy (celiac disease) hai. Is bemari ka baqaida ilaj hona bohat zaruri hai.
Qudarti tor par gluten tamam anaaj or ajnaas main paya jata hai, maslan gandam, dalya, or suji in main gluten ki miqdar baqadry dusry anaaj or ajnas k ziyada hoti hai. Kuch logon ko gluten sy allergy ho jati hai jiski waja sy pait phoolna shuru ho jata hai or kuch ko pait main shadeed dard or paichish ki alamat shuru ho jati hain. Aam tor par pait dard gas ki wajah sy bhe hoti hai jis ke liyegas ka ilajintehai mujarrab hai.
2. Fiber Waaly Khany
Jin logon ko qabz ka masla hota hai un logon ko aksar muaalij hazraat fiber waly khany tajweez karty hain. Jab k wo mareez jin ko halki qabz k sath bar bar pakhana ki hajat hoti hai or pait main dard hota hai or gas rehti hai unky lye fiber waly khany nuqsaan deh sabit ho sakty hain.
3. Choti Aant Main Bacteria
Agar choti aant main bacteria paida ho jaye tab bhepait dard (stomach pain)jesa mehsus hota hai or is main darj zel bemariyan aap ko gher sakti hain;
Pait main mustaqil dard rehna
Wazan main kami
Gas ka masla
Khoon ki kami
Neend ki ziyadati
Jismani thakawat
Ye bemari antibiotics adwiyaat k istemal sy theek ho sakti hai, lekin iski darust tashkhees k lye kuch test kiye jaaty hain jin k baad he apka mualij apko behtar tariqa e ilaj tajweez karta hai.
4. Pitta (Bladder) K Masail
Baaz okaat pitty sy nikalny waly ghair zaroori mawad ki waja sy pait main dard or gas jesy masail paida ho jaaty hain. Agar hamara pitta tezabi maada kharij karny lagy to pait main dard rehny lagti hai or dekha gaya hai k ye masla aksar raat k waqt paish ata hai. Mareez ko tezabiyat sy bharpoor dikaar aana bhe isi bemari ki alamaat main sy aik hai.
5. Aant Ki Sozish
Agar apka wazan kam hogaya hai or pakhana karty hue pait main dard mehsus hoti hai or pakhana patla ata hai to ye is baat ki alamat hai k aapki aant main sozish hai. Aant aapky khany main mojud pani ko sahi tarha sy jazab nhe kar pati or pakhana bohat patla ho jata hai. Ye bemari aksar cigarette peeny waly hazraat main dekhny main ati hai. Ye bemari fori tor par mualij ki tawaju main lain.