SURAT ANZAAL – TASHKHEES – WAJUHAAT – ILAAJ – | HERBAL TREATMENT FOR PREMATURE EJACULATION
Sab sy pehly to hum apko Surat e anzal kia hai (what is premature ejaculation) ke bary main batain gy. Surat anzaal us waqt hota hai jab mard jamaa k doran jald farigh jo jaye. Surat e anzal (Premature ejaculation) aik aam jinsi bemari hai jo k har 3 main sy 1 fard ko lahaq hai. Agar surt anzal kabhi kabhar hota hai to yeh koi tashweesh ki baat nahi hai, lekin agar aap ko har moqay par surt anzal ki shikayat ho to aapko is par sanjeedagi sy sochna chahye.
Surat anzal main nafsiyati or hayatiyati awamil aham kirdar ada karty hain. Yeh aik aesi bemari hai jisy bayan karty hue bohat sy mard hazrat sharmindagi mehsus karty hain. Yeh bemari aap ky azdawaji rishtay main bigar paida kar k bohat sari mushkilaat ka sabab bhe ban sakti hai.
Jab k dusri taraf mojoodah zamany main surt anzal aik aam or qabil e ilaj bemari hai. Surat e anzal ka ilaj (Premature ejaculation treatment), mushawarat or jinsi tariq-e-kaar jo surat e anzal ko rokti hain ko apna kar aap apny or apny sathi k liye jinsi taluqaat ko behtar bana sakty hain.
SURT ANZAL KI WAJUHAAT
Surat Anzaal ki wajuhat aaj tak malum nahi ho saki, magar is main aapki nafsiyaat or jismani bemariyon ka amal dakhal ho sakta hai. Aesy mard hazraat jin k dimaghon main chemical serotonin (aik aisa madah jo khoon, dimagh or aanton k khuliyon main paya jata hai) ki satah kam ho jati hai, surt anzal ka shikar ho jaty hain. Is main bohat sy jazbati awamil bhe kar farma ho sakty hain jesy;
- Asaabi tanao
- Zehni dabao
- Iztarab ki kefiyat
- Sharmindagi
- Taluqaat main masail
SURAT ANZAL KA HERBAL ILAJ (Premature Ejaculation Treatment in Urdu)
Surat Anzaal k ilaaj(premature ejaculation treatment) main sirf allopathy ki adwiyaat he shamil nahi hain, qudarti jarri botiyon main bhe is ka mukammal ilaaj mojood hai. Is k ilawa bohat si aesi tadabeer hain jin k roz marrah zindagi main apnany sy surt anzal jesy marz par kabu paya ja sakta hai or aap apni azdawaji zindagi ko bharpoor tariqy sy enjoy bhe kar sakty hain. Darj zail main hum jaldi farig hone ka ilaaj bayan karain gy.
1. ANGELICA
Yeh aik aisa poda hai jis main jarr, beej or phal shamil hain jo k tamam adwiyaat banany main istemal hoty hain. Baki adwiyaat k sath mil kar Angelica pody ki jarr surat anzal main kami laati hai or azu e tanasul ko milny waly ehsas ko kam kar k aapko jald farigh hony sy Surat Anzaal.
2. CEYLON DAR CHENI (CEYLON CINNAMON)
Isi tarha Ceylon Dar Cheni sy bany hue cream main digar ajza mila kar lagany sy bhe surat e anzal ko roka ja sakta hai. Ceylon Dar Cheni aik darakhat ki chaal sy hasil ki jati hai jo adwiyaat banany k kaam ati hai.
3. LAUNG (CLOVE)
Laung ka tail, khushak phool ki kali, patty or laung k tanny ko mukhtalif adwiyaat banany main istemal kiya jata hai. Isy degar adwiyaat k saath istemal karny sy surat anzaal main kami waqae hoti hai.
4. PANAX GINSENG
Is pody ki jarr ko mukhtalif creams k sath mila kar azu e tanasul par milaap sy pehly lagany sy bhe surat anzal main numayan kami mehsus ki ja sakti hai. Isy goli ki shakal main khany sy wo mareez jo mardana banjh pan ka shikar hain, bohat sary jinsi fawaid hasil kar sakty hain.
5. DONG QUAI (FEMALE GINSENG)
Is pody ki jarr ko mukhtalif creams main mila kar lagany sy bhe surat anzal ki alamaat main numayan kami lai ja sakti hai. Is k istemal sy aap jinsi rohjaan main nai quwat or tazgi mehsus karain gy or jald farigh hony jesi almaat sy bhe nijat mily gi.
SURAT ANZAL KA GHARELU ILAAJ
Kia aap apni or apny sathi ki taskeen sy pehly farigh ho jaty hain? Agar aesa hai to aap surat anzal ka shikar hain isi liye aap or aapka sathi jald farigh hony ki wajah sy jinsi asudagi hasil nhe kar paty jo k aap k liye sharmindagi ka bais banta hai. Surat anzaal ka gharelu ilaaj mumkin hai. Is k liye aapko apni ghiza main thori bohat tabdeeliyon ki zarurat hai jis sy aap surat anzal jesi bemari sy mukammal tor par chutkara hasil kar sakty hain. In ghizaon main shamil hain;
1. LEHSAN (Garlic)
Lehsan shehwat angaiz khasoosiyaat sy bhara hota hai or yeh surat anzal ko rok kar aapky jamaa ki muddat ko barhany main apki madad karta hai. Yeh na sirf musaffi hai jo k khoon saaf karny main madadgar hai, balky yeh aapky k jisam main khoon k doraniye ko bhe theek karta hai or khoon main mojood fasid maadon k ikhraaj k liye bhe intehai mufeed qudarti ilaaj hai.
2. SUFED MOOSLI (Asparagus)
Sufed Moosli vitamins sy bharpoor aik qudarti tohfa hai jo testosterone ko munazzam karny k liye bohat he zaruri hai. Yeh manni ko barhati or garha karti hai. Agar aap surt anzal ka shikar hain to Sufed Moosli surat anzal ka behtareen ilaj hai. Isy istemal karny k liye aap isy doodh main daal kar ubal lain or neem garam ho jaye to pee lain.
3. GAJAR (Carrot)
Gajar main antioxidants or beta carotene wafer miqdaar main mojood hoty hain. Is main mojood yeh kemiyai khawas aap k jisam main khoon k bahao ko behtar banaty hain. Agar aap ubali hui gajar shehad or anday k sath khain to aap surat anzal ko roknay k qabil ho jain gy.
4. DALIYA (OATMEAL)
Agar aap apni roz marrah ki ghiza main daliye ko shamil kar lain to aap khoon k bahao main testosterone ki satah ko barha sakty hain. Daliya aap k azu-e-tanasul k pathon ko pursakun rakhny or aap ko mazboot or mustahkam rakhny main nehayat he karamad hai.
5. TARBOOZ (WATERMELON)
Tarbooz aik zabardast qudarti tohafa hai jo garmi k mosam main jisam main paani ki miqdar ko matwazan rakhta hai. Is main mojood citrulline, aapki shehwat ko barhany main madad dety hain. Aap tarbooz ko akely bhe kha sakty hain or apni fruit salad main bhe shamil kar sakty hain. Thory he arsy k istemal sy aap ko musbat nataij nazar ayen gy.
6. ADRAK OR SHEHAD (GINGER AND HONEY)
Adrak or shehad ko shehwat angaiz ghiza samjha jata hai. Jab in dono ko milaya jaye to wo shehwat ko barhany main madadgar sabit hoty hain. Aap adrak ko kadukash kar k is main shehad daal k istemal karain. Is ke istemal sy jald he aap is k musbat nataij dekhain gy.
7. SABAZ PIYAZ K BEEJ (GREEN ONION SEEDS)
Sabaz piyaz k beej bhe shehwat angaiz hoty hain. Yeh qabal az waqat ikhraaj yani surat anzal ko kam karny main madad faraham karty hain. Yeh aapki jismani or shehwani istedad or taqat ko barha dety hain. Is sy aap apni jinsi istedad ko barha sakty hain. Sabaz piyaz k beejon ko paani main mila kar paani ko pee lain.
Package For Pre Mature Ejaculation Treatment Rs 2,150
For Any Query Contact us at: 03074409221