Package For Headache Treatment (سر درد کا علاج)

 1,040

 1,040

Add to cart
Buy Now

Sar dard or dard-e-shaqeeqa aam tor par shadeed tareen sar dard hota hai jo k ghanton tak jari reh sakta hai. Shadeed tareen sar dard aam tor par peshani, sar ke dono atraaf sy shuru ho kar aankhon tak jata. Taiz roshni, shor sar dard k mazeed bigarny ka sabab ban sakty hain. Migraine (sar dard) ki halat main qey ana or matli ki shikayat aam alamatain hain.

SAR DARD K LIYE NUSKHA

Ye nuskha migraine ka ilaj (migraine treatment in urdu) karny main bohat he faida mand hai is ke ilawa garmi sy sard dard or headache (medicine for headache) ko bhe khatam karta hai.

Adha kilo doodh main 3 tolah imli (Tamarind) 1 ghanty tak bhigoin. Yaad rahy k pehly imli ko garam pani sy dho kr bhigona hai. Phir isy aag par josh dain or jab doodh phat jaye to paneer nikal kar doodh k pani main hasb-e-zarurat Misri (white rock sugar) mila kar subh ke waqat piyen. 3-4 din k istemal sy har qisam ki garmi sy honay wala sar ka dard agharchy barson purana bhe ho jata rahy ga. Is nuskhy ko Sar Dard Ka Desi Ilaj samjha jata hai jo k barson sy sar ka dard(migraine ka ilaj) ka azmudah ilaj hai.

Top
WhatsApp chat