sar ka dard, sir dard, sar dard ka ilaj, sir dard ka ilaj, headache

SAR K DARD KA ILAJ – MIGRAINE TREATMENT

Sar dard or dard-e-shaqeeqa aam tor par shadeed tareen sar dard hota hai jo k ghanton tak jari reh sakta hai. Shadeed tareen sar dard aam tor par peshani, sar ke dono atraaf sy shuru ho kar aankhon tak jata. Taiz roshni, shor sar dard k mazeed bigarny ka sabab ban sakty hain. Migraine (sar dard) ki halat main qey ana or matli ki shikayat aam alamatain hain.

Sar dard kam sy kam saal main aik ya do baar ho sakta hai or ziyada sy ziyada rozana ki bunyaad par ho sakta hai. Mardon ke muqably main aurton main sar dard or migraine ki shikayaat aam hain. Agy chal kar hum is article main sar dard ka ilaj, iqsam, wajuhat or bachao ke tariqon par baat karain gy.

Sar k Dard Ka Ilaj KI 5 IQSAAM

Sar dard ya migraine ki mukhtalif iqsaam hain jin main aam sar dard or shadeed sar dard shamil hain.

1. SHADEED SAR DARD (CLASSIC MIGRAINE)

Shadeed sar dard jisy aam tor par classic migraine bhe kaha jata hai aik intebahi alamat k sath shuru hota hai or is alamat ko aura kaha jata hai. Is sorat main mareez k sar main aik dam sy chamak ya taiz roshni ka ehsas paida hota hai or usky sath he shadeed sar dard hona shuru ho jata hai.

 

Aura yani chamak ki waja sy ankho k dekhny ki quwat par bhe asar parta hai or is k ilawa aapky dekhny k andaz main bhe tabdeeliyan runuma ho sakti hain jesy kisi bhe chez ko dekhny main diqqat ka samna, ya saye ki tarha nazar ana, dekhty waqat nazar main lakeeron ka dikhna waghera.

 

Aesi soorat-e-haal main aap kuch had tak nazar kho sakty hain jesy k dono atraaf ya phir kisi aik taraf main na dekh pana (side vision). Aap ankhon main chubhan ka shikar bhe ho sakty hain or apko baat cheet karny main dushwari bhe pesh asakti hai neez ye asbi pathon ki kamzori ka bais bhe ban sakta hai.

 

Apky sar k dard k foran baad sy shuru ho kar yeh aura 15-30 minute tak reh sakta hai. Kabhi kabhaar asi surat-e-hal main dard ka ehsaas nhe bhe hota magar chamak (aura) ka eshas zarur hota hai.

2. AAM SAR DARD (Normal Migraine)

Aam sar dard chamak (aura) k sath nhe shuru hoti. Iss waja sy isy migraine without aura yani beghai chamak k sar dard bhe kaha jata hai. Aam sar dard shadeed sar dard k muqably main ahista ahista shuru ho kar ziyada dair tak rehti hai or apki roz marrah ki zindagi ko mutassir karti hai. Aam sar dar sar k kisi bhe aik taraf he rehti hai. Ziyada tar log jinhen sar dard lahaq rehta hai wo aam tor par yahi aam sar dard hai.

 

Migraines jo k bina sar k dard k hota hai us khamosh migraine kaha jata hai. Khamosh migraine main sar k dard k ilawa kuch aur alamaat zahir hoti hain. Is main aap chamak k sath sath mukhtalif rang bhe mehsus karain gy. Isi tarha is qisam k marz main aapko kam awazain bhe shor wali mehsus hongi.

3. AADHY SAR KA DARD (Hemiplegic Migraine)

Aadhy sar ka dard aik nayaab bemari hai. Is qisam ka sar dard apky jism ki aik side ko kamzor bana deta hai bilkul falij ki tarha. Yeh alamaat aarzi hoti hain or aadhy sar k dard ka hissa hain. Aapka chehra, baazu, haath, or tangain is sy mutasir ho sakty hain. Yeh jismani azaa ki kamzori adhy ghanty sy ly kar kai din tak reh sakti hai. Dekha gaya hain k ye jismani azaa ki kamzori ziyada tar 24 ghanty tak he rehti hai. Is tarha ki halat main aksar sar dard in alamaat k zahir hony sy pehly ya baad main he hota hai.

4. AANKHON KO MUTASIR KARNY WALA SAR DARD (Ocular Migraine)

Ocular ya retina migraine yani aankhon ko mutasir karny wala sar dard bhe aik bemari hai jo k kam he logon main pai jati hai. Aankhon ko mutasir karny wala sar dard nazar ki tabdeeliyon ka bais banta hai. In alamaat main nazar ka buri tarha sy mutassir hona, kam nazar ana, aik ya dono ankhon ka andha pan shamil ho sakta hai. Is marz ki alamaat ziyada dair nhe rehti, ye alamaat sar main dard sy pehly ya baad main zahir ho sakti hain.

5. CHUBHNAY WALA SAR DARD (Icepick Headache)

Chubhnay wala sar dard headache nhe hota. Wo apki ankhon or kanpatiyon k gird chubhany wali dard ka bais banta hai. Baaz okaat ye dard barh kar sar k mukhtalif hisson main bhe ja sakti. Aesa sar dard bina kisi alamat ke hota hai. Agar aap aam sar dard k mareez hain to is qisam ka sar dard(Headache) apko bhe ho sakta hai.

SAR DARD KI AMUMI WAJUHAAT

  • Asabi tanao or iztarab ka barhna
  • Neend ka kam ya na ana
  • Hormones main tebdeeliyan
  • Bhook ka na lagna
  • Pani ki kami
  • Badhazmi ki waja sy tezabiyat or gas ka ban’na
  • Taiz roshni or shor

GARMI Sar k Dard Ka Ilaj NUSKHA

Ye nuskha migraine ka ilaj (migraine treatment in urdu) karny main bohat he faida mand hai is ke ilawa garmi sy sard dard or headache (medicine for headache) ko bhe khatam karta hai.

 

Adha kilo doodh main 3 tolah imli (Tamarind) 1 ghanty tak bhigoin. Yaad rahy k pehly imli ko garam pani sy dho kr bhigona hai. Phir isy aag par josh dain or jab doodh phat jaye to paneer nikal kar doodh k pani main hasb-e-zarurat Misri (white rock sugar) mila kar subh ke waqat piyen. 3-4 din k istemal sy har qisam ki garmi sy honay wala sar ka dard agharchy barson purana bhe ho jata rahy ga. Is nuskhy ko Sar Dard Ka Desi Ilaj samjha jata hai jo k barson sy sar ka dard(migraine ka ilaj) ka azmudah ilaj hai.

Package For Migraine Treatment Rs 920

For Any Query Contact us at: 03074409221

Top
WhatsApp chat